Saturday, April 17, 2010
Nothing to fear
“God gave us memory so that we might have roses in December.” James Matthew
Wednesday, April 7, 2010
A ship in harbor
Himmat Karne Waalon Ki Haar Nahi Hoti..
A poem by Harivanshrai Bachchan:
Lehron Se Dar Kar Nauka Paar Nahi Hoti
Himmat Karne Walon Ki Haar Nahi Hoti....
Nanhi Chinti Jab Dana Lekar Chalti Hai
Chadti Deewaron Par Sau Baar Fisalti Hai
Mann Ka Vishwas Ragon Mein Sahas Banta Hai
Chad Kar Girna, Gir Kar Chadna Na Akharta Hai
Akhir Uski Mehnat Bekar Nahi Hoti
Koshish Karne Waalon Ki Haar Nahi Hoti....
Dubkiyan Sindu Mein Gota Khor Lagata Hai
Ja Ja Kar Khali Haath Laut Aata Hai
Milte Na Sehej Hi Moti Pani Mein
Behta Duna Utsah Issi Heiraani Mein
Mutthi Uski Khali Har Baar Nahi Hoti
Himmat Karne Walon Ki Haar Nahi Hoti....
Asaflta Ek Chunati Hai Sweekar Karo
Kya Kami Reh Gayi Dekho Aur Sudhaar Karo
Jab Tak Na Safal Ho Neend Chain Ki Tyago Tum
Sangharshon Ka Maidaan Chhod Mat Bhago Tum
Kuch Kiye Bina Hi Jai Jai Kaar Nahi Hoti
Himmat Karne Walon Ki Haar Nahi Hoti....